kabhi kabhi behad Dar lagta hai
ki dosti ke sab rupahle rishte
pyar ke sare sunahre bandhan
sukhi Tahniyon ki tarah
chaTaKH kar TuT na jaen
aankhen khulen, band hon dekhen
lekin baaten karna chhoD den
hath kaam karen
ungliyan duniya bhar ke qaziye likkhen
magar phul jaise bachchon ke
Dagmagate chhoTe chhoTe pairon ko
sahaara dena bhul jaen
aur suhani shabnami raaton mein
jab raushniyan gul ho jaen
tare motiya chameli ki tarah mahken
prit ki rit
nibhai na jae
dilon mein kaThorta ghar kar le
man ke chanchal sote sukh jaen
yahi maut hai!
us dusri se
bahut ziyaada buri
jis par sab aansu bahate hain
arthi uThti hai
chita sulagti hai
qabron par phul chaDhae jate hain
charagh julte hain
lekin yeØ ye to
tanhai ke bhayanak maqbare hain
daimi qaid hai
jis ke gol gumbad se
apni chiKHon ki bhi
baz-gasht nahin aati
kabhi kabhi behad Dar lagta hai
Nazm
Kabhi kabhi
Sajjad Zaheer