kabhi kabhi to yun mahsus hua karta hai
jaise lafz ke sare rishte be-mani hain
lagti hai kanon ko aksar
KHamoshi aawaz ke sannaTe se behtar
sada kaghaz
likhe hue kaghaz se achchha lagta hai
KHwabida lafzon ko aaKHir
jagti aankhon ki taswir dikhaen kaise
palkon par aawaz sajaen kaise
kabhi kabhi yun lagta hai jaise tum meri nazmen ho
jin ko paDh kar kabhi kabhi mein yun bhi sachcha karta hun
lafzon ke rishte be-mani hote hain
lafz kahan jazbon ke sani hote hain
Nazm
Kabhi kabhi
Sahar Ansari