kabhi kabhi lagta hai
jaise zindagi
kan main aa kar kah rahi ho
yar mere sath kar kya rahe ho
waise sach mein
hamein karna kya tha
aur hum kar kya rahen hain
hamein banna kya tha
aur hum ban kya gae hain
rona chahen
to khul kar rote nahin hain
hansna chahen
to khul kar hanste nahin hain
KHwabon mein yun bahte hain aksar
haqiqat mein hum rahte nahin hain
ye chandni raaten
wo taron se baaten
thoDa raaton mein jagna
thoDa sach se bhagna
kuchh pyare sapne
kuchh buri yaaden
kuchh puri zaruraten
kuchh adhuri KHwahishen
sab hain
agar kuchh nahin hai
to wo hain hum
Nazm
Kabhi kabhi
Rashmi Bhardwaj