kabhi aisa tamawwuj tum ne dekha hai
kabhi jazbaat ka aisa tamawwuj tum ne dekha hai
ki sine mein bhanwar paDte hon tishna aarzuon ke
magar un ko miyan-e-mauj rasta bhi na milta ho
kinare tak rasai ka ishaara bhi na milta ho
jab aisa ho to har chashme se dhaare phuT bahte hain
wo sang o gil ke pushte hon ki dariya ke kinare
phuT bahte hain
wahi dhaare magar un saebanon ko Dubote hain
ki jin ke niche baiTh kar kuchh chaak-daman log
ashkon aur tufanon ke moti bhi pirote hain
Nazm
Kabhi aisa tamawwuj tumne dekha hai
Aslam Ansari