اردو हिंदी
Kab se mahw-e-safar ho | Shaahi Shayari
kab se mahw-e-safar ho

Nazm

Kab se mahw-e-safar ho

Sajida Zaidi

;

sajida kun yugon ki masafat sameTe hue
is bayaban mein yunhi bhaTakti rahogi

in bagulon ke hamrah yun raqs karti rahogi
kitne sahraon mein tum ne phoDe hain panw ke chhaale

kitni bedar raaton se manga hai tum ne KHiraj-e-tamanna
sajida kuchh kaho

hijr ki kin zamanon mein ashkon ki mala piroi
kin hisabon chukaya qarz-e-junun

kaun se marhalon se guzar kar bana ruh ka pairahan
kis tarah jaan se guzre hain tufan-e-gham

kis tarah nand aandhi ki yalghaar mein
tum ne apni rida ko sambhaala

kaise yaKH-basta tanhaiyon mein
jashn-e-ruh-o-dil-o-jaan manaya

shola-e-arzu mein
kaise harf-o-nawa ko tapaya

jagti raat ki tirgi ko
kis tarah matla-e-nur-e-yazdan banaya

kitne sajdon se apni jabin ko sajaya
sajida

dard ke raston par
kab se mahw-e-safar ho

tum ne in rahguzaron ki banjar zamin mein
kitne raftar-o-guftar ke gul khilae

is aqubat-kada ki siyahi mein
kitne charagh-e-tamanna jalae

sajida
is tag-o-dau se tum ne

kya kabhi chehra-e-zindagi ko sanwara
kya kisi dil mein koi sitara utara

kya zamane ki raftar badli
kya kisi tapte sahra ke zarron ko kundan banaya

kitne zaKHmon pe insan ke marham lagaya
zulm ki dastan ko kabhi harf-e-shirin banaya

sajida
sham hai zindagi ki

thak ke so jaun sab haw bhul jao
kaDi dhup ke kos-dar-kos

agle zamanon ke naqsh-e-qadam hain
rang-o-mausam badalne laga hai

tum masiha nahin
thak ke so jao

raqs-e-junun bhul jao