sajida! kin yugon ki masafat sameTe hue
is bayaban mein yunhi bhaTakti rahogi
in bagulon ke hamrah yun raqs karti rahogi
kitne sahraon mein tum ne phoDe hain panw ke chhaale
kitni bedar raaton se manga hai tum ne KHiraj-e-tamanna
sajida! kuchh kaho
hijr ke kin zamanon mein ashkon ki mala piroi
kin hisabon chukaya qarz-e-junun
kaun se marhalon se guzar kar bana ruh ka pairahan
kis tarah jaan se guzre hain tufan-e-gham
kis tarah tund aandhi ki yalghaar mein
tum ne apni rida ko sambhaala
kaise yaKH-basta tanhaiyon mein
jashn-e-ruh o dil o jaan manaya
shola-e-arzu mein
kaise harf o nawa ko tapaya
jagti raat ki tirgi ko
kis tarah mutla-e-nur-e-yazdan banaya
kitne sajdon se apni jabin ko sajaya
sajida!
dard ke raston par
kab se mahw-e-safar ho
tum ne in regzaron ki banjar zamin mein
kitne raftar o guftar ke gul khilae
is uqubat-kada ki siyahi mein
kitne charagh-e-tamanna jalae
sajida!
is tag-o-dau se tum ne
kya kabhi chehra-e-zindagi ko sanwara
kya kisi dil mein koi sitara utara
kya zamane ki raftar badli
kya kisi tapte sahra ke zarron ko kundan banaya
kitne zaKHmon pe insan ke marham lagaya
zulm ki dastan ko kabhi harf-e-shirin banaya
sajida!
sham hai zindagi ki
thak ke so jao sab hao-hu bhul jao
kaDi dhup ke kos dar kos
agle zamanon ke naqsh-e-qadam hain
rang mausam badalne laga hai
tum masiha nahin
thak ke so jao
raqs-e-junun bhul jao
Nazm
Kab se mahw-e-safar ho
Sajida Zaidi