waqt ka aisa ye jazira hai
jahan din aur raat kuchh bhi nahin
zehn-o-dil ab hain aise aalam mein
hosh-o-be-hoshi mein nahin kuchh farq
ajnabiyyat hai ek KHala hai ye
yahan KHud ka pata nahin milta
phir bhi kuchh to sunai deta hai
chand aawazen aur ek dastak
har sada ka kuchh aisa lahja hai
jaise dahshat ho dard ho maujud
jaise ismat ko koi KHatra ho
har sada kar rahi hai ye minnat
khol do khol do kiwaD apne
waqt guzra dimagh jag gaya
dil ne bhi ye sadaen sun hi lin
hum samajhte the tum to shaer ho
narm dil hoge mehrban hoge
hum ko apne yahan sharan doge
main nai jaana ki meri DewDhi par
zaKHmi haalat mein kuchh paDe the KHayal
kuchh hare zaKHm chand taza malal
an-sune jumle an-kahe alfaz
istiaraat zawiye jazbaat
an-chhue kuchh muhaware ilham
sab ki aankhon mein tha bas ek sawal
kab karoge hamara istiqbaal
Nazm
Kab karoge hamara istiqbaal
Subodh Lal Saqi