us ne dekha
wo akela apni aankhon ki adalat mein
khaDa tha
be-kashish auqat mein banTi hui sadiyan
kisi jallad ke qadmon ki aawazen musalsal
sun rahi thin
aane wale mausamon ke nauhagar muddat se
apni bebasi ka zahr pi kar
mar chuke the
us ne chaha
band kamre ki salaKHen toD kar bahar nikal jae
magar shaKHon se murjhae hue patton ki surat
hath us ke bazuon se
gir chuke the
Nazm
Kaya ka karb
Aftab Iqbal Shamim