jab sara manzar dekh chuke
to KHwabon mein kho jaana kya
mere man ka panchhi pagal hai
jo ab bhi rasta dekhta hai
mere dil ka bachcha ziddi bachcha
aas lagae jita hai
is man ko main samjhaun kya
jo rasta tera rasta nahin
ab is raste par jaana kya
jo manzil, manzil teri nahin
ab us ka khoj lagana kya
lekin mere dil ka bachcha ziddi bachcha
jab surat-e-haal samajhta nahin
use rah rah kar samjhana kya
Nazm
Kawish-e-be-sud
Ghzala Khakwani