naya din roz mujh ko kitna pichhe phenk deta hai
ye aaj andaza hota hai ki main aahista aahista
hazaron mil ki duri pe tum se aa gaya aur ab
dinon salon mahinon ko ikaTTha kar ke gum-gashta
dayar-e-hu mein baiTha hun na kuchh aage na kuchh pichhe
siwa kuchh waswason ke kuchh KHasaron ke kamar-basta
kahin chalne ko aage jis ka wazeh kuchh tasawwur hi nahin koi
hamare sab masail jin ka hum par bojh hai itna
hamari kisht-e-be-maya hain is sahra mein kya boya
bagulon ke siwa kuchh garm jhonkon ke siwa hum ne
chalo ek tez dhaare mein kahin par Dal den kashti
latafat ThanDe pani ki karen mahsus kuchh thoDa bikhar jaen
hansen be-wajh yunhi ghul machaen be-sabab dauDen
uDen un baadalon ke pichhe aur milon nikal jaen
Nazm
Kawish
Akhtar-ul-Iman