ganga ki chhati par
sar rakh kar nai
kuchh der
jakDe banaras ke
buDhe naKHunon aur jhurriyon ne
chipchipati chamDi wale hathon ko
chhu kar yun laga ki tum wahi ho jo main hun
aur ye meri jagah hai
main hun manikarnika
aur tum mere kashi
ye jo ganga hai na
isi mein bahte bahte hum ek kinare
mile the kabhi
aur hamesha ke liye ek ho gae
ye ganga hi sakshi hai
ganga hi rishta
yahi prem bhi
sutr bhi ye hai
hum ganga ke kankar
ganga ki aulad
aur isi mein moh
moksh bhi isi mein
main manikarnika
tum mere kashi

Nazm
Kashi
Varsha Gorchhia