kitab-e-hayat ka ye panna
achchha hota jo barqarar rahta
waqt ki tez raftar par
kash mera bhi iKHtiyar rahta
ek dilkash safina ban kar
guzre waqt ka lamha lamha
aankhon ki gahri jhil mein
khae hachkole rafta rafta
ye safina sahil pa bhi leta
gar hath mein patwar rahta
yun to ek lambe arse tak
sath rahe hum ek jagah
lekin jaise hi mile kyun
judai ka lamha aa gaya
qafila waqt ka yahin tham jae
hai bas yahi intizar rahta
Nazm
Kash waqt tham jata
Aditya Pant u0027Naaqidu0027