ye kaun kahta hai insan ka karwan-e-hayat
palaT ke aane ko hai be-gunahi ki jaanib
wahi gunah wahi masiyat wahi badbu
wahi hai dard wahi karwaTen wahi pahlu
wahi fasad wahi shar hi tamarrud hai
dimagh-o-dil pe musallat wahi tashaddud hai
ye kaun kahta hai insan ka karwan-e-hayat
palaT ke aane ko hai be-gunahi ki jaanib
main dekhta hun ki insan ka karwan-e-hayat
ujala chhoD chala hai siyahi ki jaanib
siyahi jaise samundar ki thah mein pinhan
siyahi jaise KHam-e-dud-e-ah mein pinhan
siyahi jaise ghaTa-Top raat se zahir
siyahi jaise munafiq ki baat se zahir
main dekhta hun ki insan ka karwan-e-hayat
ujala chhoD chala hai siyahi ki jaanib
main jaanta hun ki insan ka karwan-e-hayat
rawan-dawan to hai lekin tabahi ki jaanib
tabahi jis mein jahannam ka ghaar poshida
tabahi jis mein hai har fard zahar-noshida
tabahi jis mein hai har ghat ghat mein jumut
tabahi jis mein nihan maut ka jumud-o-sukut
main jaanta hun ki insan ka karwan-e-hayat
rawan-dawan to hai lekin tabahi ki jaanib
Nazm
Karwan-e-hayat
Amjad Najmi