apne hone
aur na hone mein
KHushi ki gham ki itminan ki tahqiq
be-masraf hai
aur ek sai-e-la-hasil ke siwa kuchh bhi nahin
ye zindagi
ek jang-e-tahmili hai
aur main
be-natija jang ka sar-baz hon koi
jo behuda sawalon se
azal se bar-sar-e-paikar
abad-asar na-paida
mail
tar-e-abresham
wajud
ek kirm ki manind
ghaeb ho raha hai dam-ba-dam
ye bhi ghanimat tha magar
resham ke KHwahan hi kahan baqi
kabhi ye sochta hun main
kisi goshe mein baiThun
aur rujua ek mard-e-kaamil se karun
lekin
mujhe bhi to ye pahle jaanna hoga
tifl-e-aql
kyun az-balKH ta-ba-qauniya
yun KHwab mein Duba raha
ya phir
isi ek yaad ko unwan de dun zist ka
to nau-damida wo kali
shamil hui ya ki gai
jo zindagi mein
jis ki KHushbu ne mere ghar ko mahak se bhar diya
tuti-e-KHush-rang-o-ilhan ki chahak se bhar diya
main ek muhaqqiq bhi raha hun
haft-sala daura-e-tahqiq ka
hasil yahi hai
sar-ba-zanu dam-ba-KHud hun
aaKHirash sadiq-hidayat
KHud-kushi se chahta kya tha
natija sifr hai
ye kar-e-behuda
yunhi hota raha hai
be-sabab hota rahega
Nazm
Kar-e-behuda
Shahram Sarmadi