kanch nazuk hain KHwab nazuk hain
tum qadam soch kar idhar rakhna
khelne ka tujhe hai shauq magar
in chaTanon pe bhi nazar rakhna
tere dil mein hai aarzu ki kiran
teri aankhon mein KHwab hain kal ke
tere hathon mein rang-e-titli hain
tere chehre pe azm hain dahke
mere aangan ki kanch ki guDiya
apni qismat ka imtihan na le
main tujhe shad dekhna chahun
to andheron ka aasman na le
dil pe biti jo main ne sah li hai
KHar rahon se teri chun lungi
teri har ek KHushi aziz mujhe
tujh ko sansar ek naya dungi
meri guDiya magar ye kahti hai
mujh ko duniya to dekh lene do
kya hua gar mujhe bhi zaKHm milen
gham-e-hasti ka war sahne do
Nazm
Kanch ki guDiya
Shaista Mufti