jangali phul ki tarah
qudrati husn liye
jaise adh-pake phal ko khane
bechain ho jae koi
sirf ek suti sari ka libas
sundar siDaul badan
jiwan ki ghar grihasti mein
rakha tha qadam
ek doshiza ne jab
waqt ki silwaTon ne
bana diya bad-rang nishan
ek sehat-mand jism ko
kar diya kamzor
salana paidawar ki tarah
bachchon ki paidaish ne
ek do tin chaar
are bas bhi kar
apna haal to dekh
kyun apni jaan
ganwane pe tuli hai
baat aa gai samajh
nas-bandi kara li
is pe nikamma sharabi shauhar
ghar ghar kaam na kare
to peT kaise bhare
ganw mein kya dhara hai
banjar zamin
na khad na pani
shahr mein do paise ka
jugaD to hai
apna kamati hun
pariwar palti hun
kaam wali hun main
unh dekha hai bahut si
ghar malkinon ko
ghulami ka jiwan jite
un se behtar haal hai mera
is kachche ghar mein
apna raj chalati hun
Nazm
Kaam wali
Khadija Khan