maTyali raaton ka pani 
kale bistaron par bahta hai 
tum ne samundar ke kinare bistaraon ka KHwab dekha 
aur apne faisle mein zahir ho gain 
phir wo bandar-gah KHali ho gai 
jis par 
do shaKHen lahraati hain 
aur ek patthar chamakta hai 
main un barishon ko thamta hua dekhta hun 
jin ki 
barahnagi mein hum samundaron tak jate the 
aur nekiyan talash karte the
        Nazm
Kali ret
Rais Farogh

