jab din Dhal jata hai, suraj dharti ki oT mein ho jata hai
aur bhiDon ke chhatte jaisi bhin-bhin
bazaron ki garmi, afra-tafri
motor, bas, barqi railon ka hangama tham jata hai
chae-KHanon nach-gharon se kam-sin laDke
apne ham-sin mashuqon ko
jin ki jinsi KHwahish waqt se pahle jag uThi hai
le kar ja chukte hain
baDhti phailti unchi himala jaisi tamiron par KHamoshi chha jati hai
theater tafrih-gahon mein tale paD jate hain
aur ba-zahir duniya so jati hai
main apne kamre mein baiTha socha karta hun
kutton ki dum TeDhi kyun hoti hai
ye chitkabri duniya jis ka koi bhi kirdar nahin hai
koi falsafa koi painda aqdar nahin, mear nahin hai
is par ahl-e-danish widwan, falsafi
moTi moTi adaq kitaben kyun likkha karte hain?
'furqat' ki man ne shauhar ke marne par kitna kohram machaya tha
lekin iddat ke din pure hone se ek hafta pahle
'nilam' ke mamun ke sath badaun ja pahunchi thi
bi-bi ki sehnak konDe fatiha-KHwani
jang-e-siffin, jamal aur badar ke qisson
sirat-e-nabwi tark-e-duniya aur maulwi-sahab ke halwe manDe mein kya rishta hai?
din to uD jate hain
ye sab kale par wale bagule hain
jo hanste khelte lamhon ko
apne pankhon mein mund ke aankhon se ojhal ho jate hain
rahat jaise KHwab hai aise insanon ka
jin ki ummidon ke daman mein paiwand lage hain
jama ek taraf site hain dusri jaanib phaT jata hai
ye duniya lamha lamha jiti hai
'maryam' ab kapDe seti hai
aankhon ki binai sath nahin deti ab
aur 'ghazanfar'
jo rumal mein laDDu bandh ke us ke ghar mein phenka karta tha
aur us ki aankhon ki tausif mein ghazlen likhwa kar laya karta tha
us ne aur kahin shadi kar li hai
ab apni lakDi ki Tal pe baiTha
apni kaj-rai aur jawani ke qisse dohraya karta hai
Tal se uTh kar jab ghar mein aata hai
beTi par qadghan rakhta hai
nae zamane ki aulad ab waisi nahin rah gai
badkari baDhti jati hai
jo din bit gae kitne achchhe the!
bargad ke niche baiTho ya suli chaDh jao
bhainse laDne se baz nahin aaenge
maut se hum ne ek taawun kar rakkha hai
saDkon par se har lamha ek mayyat jati hai
pas-manzar mein kya hota hai nazar kahan jati hai
samne jo kuchh hai rangon aawazon chehron ka mela hai!
gurgal uD kar wo pilkhan par ja baiThi
pipal mein tote ne bachche de rakhe hain
guldum jo pakDi thi kal be-chaari mar gai
'najma' ke bele mein kitni kaliyan aaen hain
phulon ki KHushbu se kya kya yaad aata hai
ye jab ka qissa hai saDkon par nai nai bijli aai thi
aur mujhe sine mein dil hone ka ehsas hua tha
id ke din hum ne laTThe ki shalwaren silwai thin
aur siwayyon ka zarda ham-sae mein bhejwaya tha
sab niche baiThak mein baiThe the
main upar ke kamre mein baiTha
khiDki se 'zainab' ke ghar mein phulon ke guchchhe phenk raha tha
kal 'zainab' ka ghar nilam ho raha hai
sarkari tahwil mein tha ek muddat se
shayad patjhaD ka mausam aa pahuncha
patton ke girne ki aawaz musalsal aati hai
chechak ka Tika bimari ko roke rakhta hai
zabt-e-taulid isqat waghaira
insani aabaadi ko baDhne se rokengi
bandar ne jab se do Tangon par chalna sikha
us ke zehn ne harkat mein aana sikha hai
patton ke girne ki aawaz musalsal aati hai
saDkon par roz nae chehre milte hain
maut se hum ne ek taawun kar rakkha hai
pas-manzar mein nazar kahan jati hai
phulon ki KHushbu se kya kya yaad aata hai
chauk mein jis din phul paDe saDte the
KHuni darwaze par shahzadon ki phansi ka elan hua tha
ye duniya lamha lamha jiti hai
dilli ki galiyan waisi hi aabaad shad hain sab
din to kale par wale bagule hain
jo sab lamhon ko
apne pankhon mein mund ke aankhon se ojhal ho jate hain
chaaron jaanib rang rang ke jhanDe uDte hain
sab ki jebon mein insanon ke dukh-dard ka darman
KHushiyon ka nusKHa bandha paDa hai
lekin aisa kyun hai
jab nusKHa khulta hai
1857 jata hai
1947 aa jata hai
Nazm
Kale safed paron wala parinda aur meri ek sham
Akhtar-ul-Iman