tab hazaron andheron se
ek raushni ki kiran phuT kar
sard viran kamre ke tarik diwar-o-dar se ulajhne lagi
aur kamre mein phirte hue
saikaDon zard zarre
sadaon ke aaghosh par
bilbilate sisakte hue
meri jaanib baDhe
main ne apni shahadat ki ungli uThai
zard zarron se goya hua
dosto
aao baDhte chalen
raushni ki taraf raushni ki taraf
raushni jo hamari tamannaon ki pyas hai
raushni ki taraf raushni ki taraf
raushni jo hamari tamannaon ki pyas hai
raushni jo hamari tamannaon ki aas hai
zard zarre mere sath baDhne lage
raushni ki taraf raushni ki taraf
chand zarre ki jin ki ragon mein
siyah raat ki zulmaten bas chuki thin
meri baaton pe hansne lage
aur hanste rahe
tab hazaron andheron ke sine mein
phaila hua ek tilism
raushni ki tab-o-tab se
TuTne ke liye
aur aage baDha
Nazm
Kale mausamon ki aaKHiri raat
Ejaz Rahi