kala had se bhi kala tha
utna kala jitni teri soch
utna kala jitni tere dil ki kalak
kaun tha kala
kala kala sochta jata
khurach khurach kar nochta jata
apna hona khojta jata
jumlon ki badbu ke andar
apni KHushbu sunghta jata
apni cigarette phunkta jata
kale ki cigarette bhi kali
kale ka gurda bhi kala
kale ki kuppi bhi kali
kale ki chuski bhi kali
kale ka har kash bhi kala
har har kash se lal bhabhuka
kale ki aankhen bhi kali
aankhon se girne wale sab aansu kale
aur kali aankhon mein dikhne wali
mushkil ki diwar bhi kali
kale ki to jit bhi kali haar bhi kali
kale ke sab balb bhi kale
kale ki sab wiring kali
wiring wo jo andar andar
sulag sulag kar
kale ki sari sochon ko
aur KHwabon ko
gala chuki thi
jala chuki thi
jab wo chalta to lagta wo lahraata hai
chalte chalte bal khata hai
gir jata hai
kala kya tha
kalang ka Tika
zamin ka dhabba
kala jis ki aag mein jal kar rakh hua tha
kale ke andar ki aag thi
ya thi wo bahar ki aag
aag bhi kali
dhuan bhi kala rakh bhi kali
aag se uThne wala ek ek shoala kala
kale ki bebasi bhi kali
kale ki khujli bhi kali
kale ke sab phoDe-phunsi chhaale kale
kale ko sab kala kahne wale kale
ek din kali saDak kinare
bangali ke pan ke cabin ki jali ko thame kala
ghur raha tha aate jate
rang-birange kirdaron ko
rickshaw motor cycle aur caron ko
ek lambi si kali gaDi
dhuan uDati
chiKHti aur chillati guzri
gahre kale baalon wali gori bachchi
ek gali se bhagti nikli
kala bhaga
aur gori bachchi ko pure zor se dhakka de kar
kali gaDi ke dhakke ko KHud par jhela
kala jate jate sab se kaisa khela
gori bachchi bach gai lekin
kala apni jaan de baiTha
pile lal gulabi chehre
kale ki jaanib jab lapke
sab ne dekha
kale ki aankhon mein chiKH raha tha ek sawal
kale ke zaKHmon se bahne wala KHun tha lal
Nazm
Kala
Imran Shamshad