kash na hota to achchha tha
aisa bhi hota hai jag mein
rab ke ham-sae ki aise
rab ke pujari jaan lete hain
din baDa ghamgin sa tha wo
suraj bhi roya tha pahron
sadiyon ki wo raat ajab thi
jaise ruhen chiKH rahi hun
subh ki chanchal hawa jo aai
jaane kis ko DhunD rahi thi
baulai baulai si
phul parinde sab gum-sum the
peDon ke patte tak sakit
faslon ki baalin bhi chup thin
saryu ki aankhon ke aansu
jaane kyun na thamte the
nari baalak pir faqir
giyani aur updeshak bhi
sab hairan the sahme the sab
dubidha mein tha har koi
kaise kis ko munh dikhlae
mard-e-muqaddas lauh-purush
tir dhanush jab le kar lauTa
TuT chuka ho KHud wo jaise
sharminda afsurda tha
zalim ko paraje karne wala
ismat-e-sita ka rakhwala
apna sab kuchh tyagne wala
raj dharm ka rakshak KHud hi
KHud apni nagri ke andar
bebas aur ranjida tha
kyun ki KHud is ke apnon ne
us ki hi nagri mein aa kar
us ka hi dil toD diya tha
aaj bhi jab wo din aata hai
suraj chanda din aur raat
phul parinde khet ki faslen
baalak giyani pir faqir
sab gum-sum ho jate hain
suraj saryu sita mil kar
pahron nir bahate hain
ki raj-dharm ke rakshak ka dil
phir se toDa jata hai
Nazm
Kai-bhare gumbad ka nauha
Abu Bakr Abbad