اردو हिंदी
Kaghaz ki naw | Shaahi Shayari
kaghaz ki naw

Nazm

Kaghaz ki naw

Balraj Komal

;

raat ko sone se pahle
mujh se nanha kah raha tha chand lakhon mil kyunkar dur hai

kyun chamakte hain sitare do ghubare kali billi kya hui
mere hathi ko pilao garm pani wo kahani mujh ko nind aane lagi

nisf shab ko aate-jate baadalon ke darmiyan
kuchh huruf-e-na-tawan

bundiyon ke rup mein kaghaz ke ek purze pe mere samne
der tak girte rahe

nazm ke naqsh-e-gurezan ne sitam lakhon sahe
an-ginat barson pe phaili chashm-o-dil ki dastan

raat ke pichhle-pahar ki god mein
tez-tar hoti hui barish ke lori sun ke shayad so gai

subh-dam
khil uThe chaaron taraf bachchon ke rangin qahqahon aur taliyon ke shoKH phul

raat-bhar ki tez barish ki banai jhil mein
Dagmagati Dolti

chal rahi thin chhoTi chhoTi kashtiyan
main ne dekha in mein nanhe ki bhi thi pyari si naw

nazm ka naqsh-e-gurezan jaana-pahchana sa kaghaz jaane-pahchane huruf
nanha bola aaj jo tali na piTe bewaquf