na-gahan
aatishin lau bhaDakne lagi sabz patton tale
tilmilati, ghazabnak aur mushtail
aag
yak-laKHt betab ho kar uThi
on ki on mein
bel buTe, shajar
phul, patte, samar
rakh ka Dher hone lage is tarah
surKH shoale nigalne lage ghonsle
(ghonslon mein paDe gosht ke lothaDe)
bas dhuan rah gaya dur tak rah mein
aur badalta gaya ek jangal hara! dekhte dekhte
surmagin KHak mein
sabz manzar koi yun jala aankh mein
Nazm
Jwala-mukkhi
Naina Adil