main ek juhi ka pauda hun
ye bhi mujh ko yaad nahin hai
main is rahguzar par kab se
bas yun hi KHamosh khaDa hun
mujh se ye puchha na kisi ne
kaise ho kya soch rahe ho
kyun aaKHir KHamosh khaDe ho
jaise unhin ki tarah main KHud bhi
is aabaad hasin duniya ki
wahdat ka hissa hi nahin hun
jaise main zinda hi nahin hun
mere lafzon ki shaKHon se
yaadon ki kuchh kaliyan le len
mere rang-birange nazuk
KHwabon ki pankhuDiyan le len
kya mera anjam yahi hai
kya bas mera kaam yahi hai
apne KHun-e-dil se yunhi
rahon par main phul KHilaun
aur jo chahe luT le mujh ko
main KHamosh rahun luT jaun
ruk kar koi ye bhi na puchhe
kaise ho kya soch rahe ho
kyun aaKHir KHamosh khaDe ho
Nazm
Juhi ka pauda
Rahi Masoom Raza