khuli aankh se dekh liye KHwab painsaTh sal
aur ab main jag jaane ko kahun to jurm
ab main chup rahun to gunah kuchh kahun to jurm
sahun to apni nazron se gira na sahun to jurm
khel siyasat ke hain ye lashen ye jalti bastiyan
chup rahun to ghaddar watan ka sach kahun to jurm
farq kabhi KHatm nahin hoga mahal aur jhonpaDi ka
agar wo kahen to ghazab taqrir main kahun to jurm
kah bhi de ki tu zinda lash hai insan nahin
phir tujhe haalat se laDne ko kahun to jurm
Nazm
Jurm
Madhav Awana