nigar-e-sham-e-gham main tujh se ruKHsat hone aaya hun
gale mil le ki yun milne ki naubat phir na aaegi
sar-e-rahe jo hum donon kahin mil bhi gae to kya
ye lamhe phir na lauTenge ye saat phir na aaegi
ki main ab sirf in guzre hue lamhon ka saya hun
isi bazar mein bara baras hone ko aae hain
ki main ne fastes ki tarah apni ruh bechi thi
masarrat ki musalsal gardish-e-yaksan se ukta kar
tujhe hasil kiya tha aur har surat bhula di thi
purane saz-o-saman ab mujhe rone ko aae hain
ghazab ki tirgi hai rasta dekha nahin jata
hawa ke shor mein dariya ki maujen baDhti jati hain
zamin se ukhDe jate hain daraKHton ke qadam paiham
chaTanen rup badle zer-e-lab kuchh paDhti jati hain
ab apni ungliyon ka fasla dekha nahin jata
jaras ki naghmagi aawaz matam hoti jati hai
wahi mamul ke but hain wahi lamhon ki virani
zara si der mein ye dhaDkanen bhi Dub jaengi
meri aankhon tak aa pahuncha hai ab bahta hua pani
teri aawaz maddham aur maddham hoti jati hai
Nazm
Judai
Mustafa Zaidi