shajar hajar pe hain gham ki ghaTaen chhai hui
subuk-KHiram hawaon ko nind aai hui
ragen zamin ke manazir ki paD chalin Dhili
ye KHasta-haali ye darmandagi ye sannaTa
faza-e-nim-shabi bhi hai sansanai hui
dhuan dhuan se manazir hain shabnamistan ke
sayyara raat ki zulfen hain rasmasai hui
ye rang taron bhari raat ke tanaffus ka
ki bu-e-dard mein har sans hai basai hui
KHunuk udas fazaon ki aankhon mein aansu
tere firaq ki ye Tis hai uThai hui
sukut-e-nim-shabi gahra hota jata hai
ragen hain sina-e-hasti ki tilmilai hui
hai aaj saz-e-nawa-ha-e-KHun-chakan ai dost
hayat teri judai ki choT khai hui
meri in aankhon se ab nind parda karti hai
jo tere panja-e-rangin ki thin jagai hui
sarishk pale hue tere narm daman ke
nashat tere tabassum se jagmagai hui
laTak wo gesuon ki jaise pech-o-tab-e-kamand
lachak bhawon ki wo jaise kaman jhukai hui
sahar ka jaise tabassum damak wo mathe ki
kiran suhag ki bindi ki lahlahai hui
wo ankhDiyon ka fusun rup ki wo dewiyyat
wo sina ruh-e-numu jis mein kanmanai hui
wo sej sans ki KHushbu ko jis pe nind aae
wo qad gulab ki ek shaKH lahlahai hui
wo jhilmilate sitare tere pasine ke
jabin-e-sham-e-jawani thi jagmagai hui
ho jaise but-kada aazar ka bol uThne ko
wo koi baat si goya labon tak aai hui
wo dhaj wo dilbari wo kaam-rup aankhon ka
sajal adaon mein wo ragni rachai hui
ho KHwab-gah mein shoalon ki karwaTen dam-e-subh
wo bhairwin teri bedariyon ki gai hui
wo muskuraati hui lutf-e-did ki subhen
teri nazar ki shuaon ki gudgudai hui
lagi jo tere tasawwur ke narm shoalon se
hayat-e-ishq se us aanch ki tipai hui
hanuz waqt ke kanon mein chahchahahaT hai
wo chap tere qadam ki suni-sunai hui
hanuz sina-e-mazi mein jagmagahaT hai
damakte rup ki dipawli jalai hui
lahu mein Dubi umangon ki maut rok zara
harim-e-dil mein chali aati hai DhiTai hui
rahegi yaad jawan-bewgi mohabbat ki
suhag raat ki wo chuDiyan baDhai hui
ye meri pahli mohabbat na thi magar ai dost
ubhar gai hain wo choTen dabi-dabai hui
supurdagi o KHulus-e-nihan ke parde mein
jo teri narm-nigahi ki thin biThai hui
uTha chuka hun main pahle bhi hijr ke sadme
wo sans dukhti hui aankh DabDabai hui
ye hadsa hai ajab tujh ko pa ke kho dena
ye saneha hai ghazab teri yaad aai hui
ajib dard se koi pukarta hai tujhe
gala rundha hua aawaz thar tharrai hui
kahan hai aaj tu ai rang-o-nur ki dewi
andheri hai meri duniya luTi-luTai hui
pahunch sakegi bhi tujh tak meri nawa-e-firaq
jo kaenat ke ashkon mein hai nahai hui
Nazm
Judai
Firaq Gorakhpuri