wo mausam hai ki KHuban-e-chaman bante-sanwarte hain
ye aalam hai ki jaise rang taswiron mein bharte hain
hai KHwabida jo sabza aaina-KHane mein shabnam ke
nafas-duzdida baad-e-subh ke jhonke guzarte hain
par-e-tuti pe hota hai dum-e-taus ka dhoka
hawa se uD ke barg-e-gul jo sabze par bikharte hain
mila hai sabza-e-nau-KHez ko kya rang-e-zangari
hawa lagne se jis ki zaKHm-e-dil lala ke bharte hain
shagufa-rez ho kar Daliyan madhosh karti hain
ki mai-kash jaante hain taq se shishe utarte hain
nazakat se ada se jhum kar kahti hai shaKH-e-gul
yunhi ek jam pi kar rang maston ke nikharte hain
bashashat kah rahi hai chehra-e-gul ki idhar dekho
yunhi mahfil mein hans dete hain paimane jo bharte hain
chaman ki baDh ke shaKHen abr se karti hain gul-bazi
gulon ki aaina-dari par-e-taus karte hain
guman hota hai ki lashkar-kushi baad-e-bahaari ne
zirah-posh aab ho jata hai jab baadal guzarte hain
dam-e-subh-e-bahaari hai ruKH-e-KHur par naqab-afgan
kisi aaine par tar-e-nafas jaise bikharte hain
wahin ja kar thamega karwan-e-lala-o-gul bhi
nasim-e-subh ke jhonke jahan ja kar Thaharte hain
nihaalan-e-chaman kar lenge qabza sare aalam par
wahan se phir nahin haTte jahan pe panw dharte hain
zamin par jal phailaya hai koson zulf-e-sumbul ne
anadil in dinon aate hue gulshan mein Darte hain
jawab-e-jashn-e-jam hai garmi-e-hangama-e-gulshan
ki le kar kashti-e-mai taKHt pariyon ke utarte hain
anadil mil chuke hain KHak mein jo kya KHabar un ko
ki shaKHen jhumti hain phul turbat par bikharte hain
Nazm
Josh-e-gul
Nazm tabaa-tabaa.ii