mujhe bas ek jaanib dekhte rahne ki aadat thi
bhala kya tha mere is dusri jaanib
mujhe kaise KHabar hoti
meri sab aarzuen KHwahishen idrak ke manzar
mere is ek taraf the
dusri jaanib KHala tha
ya mujhe aisa laga tha
koi rauzan daricha koi darwaza
agar tha bhi to bas
us ek hi jaanib khula tha
jis taraf KHwabon ka rasta tha
mujhe bas ek jaanib dekhte rahne ki aadat thi
jahan tum the
magar ye baat bhi to hai
tumhaare us taraf kya tha
mujhe kaise KHabar hoti
mujhe ye bhi KHabar kab thi
mujhe kuchh bhi pata kab tha
Nazm
Jo rahi so be-KHabari rahi
Ambarin Salahuddin