main jis din paida hua
usi din se mar raha hun
wo table par pyale mein
talKH mahlul rakha tha
ab nahin hai
wo ek dariya bahta tha
use KHushk kar diya gaya hai
wo chhat se rassi Tangi thi
haTa di gai hai
main tamam umr apnon ke narghe mein raha hun
mujhe mera pyala
mera dariya
meri rassi
thoDi der ke liye
wapas kiye jaen
main us piyale ko toD kar
us ki miTTi se
ek dil banaunga
jis mein koi talKH yaad nahin hogi
main dariya mein apne KHwab Dal dunga
unhen meri zarurat nahin
main rassi se
us kashti ko bandhunga
jis mein ek aurat
phulon ki Tokari liye
baiThi hai
jo mere marne ka tamasha nahin dekhna chahti
Nazm
Jo mere marne ka tamasha nahin dekhna chahti
Ahmad Azad