kabhi kabhi mujh ko jaan paDta hai
jaise mujh mein
ghira hua parbaton se
KHali sa ek mahal ho
jahan kabhi
budh ke ilm ka ek KHazana tha
jis jagah
shlok aur mantar mahaul mein
nahin
KHud mere hi andar
meri sada mein
himaliyai hawaon ki tarah gunjte the
ajib azmat ke sath main yun alag-thalak tha
ki jis tarah meri maut ki baat
qarnaha qarn se hai wo raaz
main hi bas jis ko jaanta hun
main apne andar wo aatma hun
jise kabhi
ek azim peshen-goi ka sail-e-be-samaat
mahal samet aasman mein le uDa tha
ya phir
main ek tanaw hun
aasmanon ki samt
bachpan ke hairat-angez KHwab ke be bane mahal sa
jahan mere chaaron samt rahen
safed ret aur barf ki
apni apni had se
meri taraf baDh rahi hain
jaise
main dewtaon ka hun wo maskan
jo sab ko apni taraf bulata hai aur
sab ki pahunch se kuchh is tarah pare hai
ki jaise main dekhne ki had hun
main ek parbat hun
wadiyan jis ne banT di hain
main ek gupha hun
jo wadiyon ko mila rahi hai
main jaise sadiyon ki yatra ki wo gahri aawaz hun jo ab tak
gupha ke andar se aa rahi hai
main ek bhikshu hun
jo kabhi ka
isi gupha mein sama chuka hai
jo KHud mein tashkil ho raha tha
jo KHud mein tashkil ho raha hai
Nazm
Jo KHud mein tashkil ho raha hai
Manmohan Talkh