jo bazar chahakta tha har sham
aaj kuchh sunsan sa lag raha hai
gol-gappe ki dukan ka Thela
jalebi wale ke chulhe par se bartan
chae pe chuskiyan lete log
koi bhi aaj nazar nahin aa raha
naliyon mein lal rang bah raha hai
pata chala rang nahin
pata chala rang nahin
ye hindu musalman ka KHun hai
kal dharm ke nam par fasad hua
sunta hun
wo jalebi wala miyan tha
gol-gappe wala hindu tha
mujhe kaise pata chalta
jalebiyon ne kabhi azan nahin paDhi
gol-gappe ne kabhi gita nahin sunai
jo bazar chahakta tha har sham
aaj kuchh sunsan sa lag raha hai
Nazm
Jo bazar chahakta tha har sham
Kamal Upadhyay