guDiya si ye laDki
jis ki ujli hansi se
mera aangan damak raha hai
kal jab sat samundar par chali jaegi
aur sahili shahr ke surKH chhaton wale ghar ke andar
pure chand ki raushni ban kar bikhregi
hum sab us ko yaad karenge
aur apne ashkon ke sachche motiyon se
sari umr
ek aisa sud utarte jaenge
jis ka asl bhi hum par qarz nahin tha!
Nazm
Jizya
Parveen Shakir