ek muddat hui sochte sochte
tum se kahna hai kuchh par main kaise kahun
aarzu hai mujhe aise alfaz ki
jo kisi ne kisi se kahe hi na hon
sochta hun ki mauj-e-saba ke subuk panw mein koi pazeb hi Dal dun
chahta hun ki in titliyon ke paron mein dhanak bandh dun
surmai sham ke gesuon mein bandhi barishen khol dun KHushbuen ghol dun
phul ke surKH honTon pe afshan rakhun
KHwab ki mang mein nur sindur ki kahkashan khinch dun
ek taKHayyul ki be-rabtiyon ko tasalsul ki zanjir dun
KHwab ko jism dun jism ko ism dun
koi tabir dun ek taswir dun aur taswir ko ru-ba-ru rakh ke ek harf-e-tauqir dun
kya kahun ye kahun yun kahun par main kaise kahun
jitne alfaz hain sab kahe ja chuke sab sune ja chuke
tishna izhaar ko mo'atabar sa koi ab sahaara mile
ek kinaya mile ek ishaara mile
KHub-surat anokhi alamat mile an-kaha an-suna istiara mile
aarzu hai mujhe aise alfaz ki justuju hai mujhe aise alfaz ki
jin se patthar ko pani kiya ja sake
KHwab ko ek haqiqat kiya ja sake
ek zinda kahani kiya ja sake
sarhad-e-jawedani kiya ja sake
Nazm
Jitne alfaz hain sab kahe ja chuke
Tariq Qamar