main ne zamin ki tapti ragon pe hath dhare hain
main ne zamin ki tapti ragon se
tapte lahu ko ubalte dekha hai
un raston pe un galiyon pe
patthar jaisi saKHt hawa ke
surKH dhamake dekhe hain
raat ki mutwarrim ghaDiyon mein
zard makanon ke sehnon mein
lahu ko girte dekha hai
qatra qatra qatra
qatra qatra bante bante ek samundar
ek be-payan tapta surKH samundar
zard makanon ki rag rag mein
tapta surKH samundar
un galiyon ki buDhi chhaal pe ifriton ke hamle
tapti zamin ke satwin talwe tak lahraati andhi chiKHen
kitni hi zalim sadiyon se
andhi chiKHen mere tapte jism ke jalte KHaliyon
zard masamon ke darron mein bhaTak rahi hain
chiKHen mere jism ki ek ek rag mein yurish karti hain
nafrat ka tikha lashkara jism ko kaTta rahta hai
jis ke andar jism ke bahar
KHun ka andha lawa bahta rahta hai
Nazm
Jism ke andar jism ke bahar
Tabassum Kashmiri