اردو हिंदी
Jin lafzon mein | Shaahi Shayari
jin lafzon mein

Nazm

Jin lafzon mein

Majeed Amjad

;

jin lafzon mein hamare dilon ki baiaten hain kya sirf wo lafz hamare kuchh bhi na karne
ka kaffara ban sakte hain

kya kuchh chiKHte manon wali satren sahaara ban sakti hain un ka
jin ki aankhon mein us des ki had un viran sehnon tak hai

kaise ye sher aur kya un ki haqiqat
na sahab is apne lafzon bhare kanastar se chullu bhar kar bhik kisi ko de kar

hum se apne qarz nahin utrenge
aur ye qarz ab tak kis se aur kab utre hain

lakhon nusrat-mand hujumon ki KHandan KHandan KHunin aankhon se bhare hue
tariKH ke chaurahon par

sahib-e-taKHt-KHudawandon ki kaTti gardanen bhi hal kar na sakin ye masail
ek sail ke masail

apne apne urujon ki uftadgiyon mein Dub gain sab tahziben sab falsafe…
to ab ye sab harf zaburon mein jo mujallad hain kya hasil un ka…

jab tak mera ye dukh KHud mere lahu ki dhaDakti Taksalon mein Dhal ke duaon bhari is ek
maili jholi mein na khanke

jo raste ke kinare mere qadmon pe bichhi hai