qabr ki miTTi chura kar bhagne walon mein hum afzal nahin
hum koi qatil nahin
bismil nahin
munjamid KHunin chaTanon par do-zanu baiTh kar
ghumti sui ke raste ki salibon se Tapakte
qatra qatra surKH-ru sayyal ko
ungliyon par gin rahe hain
chun rahe hain
manzar-e-neelofari ki jhil mein
girta hua ek aasman-e-nur ka zaKHKHar shor
hum ki apni tishnagi ke sab zaruf
apni apni past-qad dahliz par toD aae the
nariyal ke aasman andoKHta sayon tale
laDkhaDa kar
aatishin sahil ki jalti ret par aundhe paDe hain
aatishin sayyal jab jab
jism ki sarhad pe ghash khae sipahi ki ragon ko chheDta hai
hosh aata hai
to chaaron samt raushan dekhte hain
ek alaw be-karan
jis mein tamam aasmanon ki ridaen jal rahi hain
aur phir
jalte gulabon se ubharti zafrani raushni
hum ko salami de rahi hai
Nazm
Jila-watan shahzad-gan ka jashn
Khaleel Mamoon