kabhi jine kabhi marne ki KHwahish rok leti hai
wagarna main hawa ki lahr mein tahlil ho jaun
kidhar jaun ki har-su saaten raste ka patthar hain
agar baiTha rahun to rakh mein tabdil ho jaun
wo jadugar tha jis ne raat par pahre biThae the
wagarna ab talak ye chand tare miT chuke hote
junun-e-agahi manus aankhon se chhalak jata
bisat-e-zindagi ke sare mohre piT chuke hote
mujhe malum hai ek chand din ko bhi nikalta hai
mujhe malum hai raaten bhi ek KHurshid rakhti hain
agar ye donon aalam ek ho jaen to phir kya ho
hawaen raat din yaktai ki ummid rakhti hain
magar in wusaton ko kaun banhon mein sameTega
kahan se aaegi wo raushni jo muntahi hogi
dilon ki tirgi kuchh aur gahri hoti jati hai
aziyyat raushni ki din ki rag rag ne sahi hogi
kidhar jaun ki har su raste kirnon ki surat hain
magar kirnon pe chalna be-qarari ko nahin aata
wo nuqta jis pe main hun marqad-e-sham-e-ghariban hai
magar is samt koi aah-o-zari ko nahin aata
Nazm
Jine marne ke darmiyan ek saat
Shahzad Ahmad