ji Darta hai be-gharaz mohabbat karne wale
achchhi nasl ke doston se
unhen dariya beach jawab mila
ye kashti chhe shahtiron aur das kilon se
yahin dariya bich banai thi
so us mein aag lagi
ji Darta hai
tumhein lauT ke aana achchha laga
mujhe chhat ki belen hari milen
unhen dhup na dena jaDon mein
ye bistar mere ghar ke nahin
tumhein fikr hui mujhe KHauf aaya
sab jaanna achchha hota hai magar aksar farq nahin paDta sab jaanne se
jab kashti Dubne lagti hai
main jaanta hun
mujhe tairna aana chahiye tha
be-gharaz mohabbat karne wale achchhi nasl ke doston ki hamrahi mein
mujhe un se alag
kuchh apne liye bhi sochna chahiye tha
main jaanta hun
ye aag izafi koshish thi
jab kashti Dubne lagti hai tab kashti Dubne lagti hai
ab lauT aae to fikr karo
ye kashti Dub bhi sakti thi
ye bistar bhig bhi sakte the
ye dariya lauT bhi sakta tha
be-gharaz mohabbat karne wale achchhi nasl ke doston ki hamrahi mein
har kaam ulaT ho sakta tha
Nazm
Ji Darta hai
Mohammad Anvar Khalid