ye tan jo hai har ek ke utare ka jhonpaDa
is se hai ab bhi sab ke sahaare ka jhonpaDa
is se hai baadshah ke nazare ka jhonpaDa
is mein hi hai faqir bichaare ka jhonpaDa
apna na mol ka na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
is mein hi bhole-bhaale isi mein siyane hain
is mein hi hoshiyar isi mein diwane hain
is mein hi dushman is mein hi apne begane hain
sha-jhonpaDa bhi apne isi mein namane hain
apna na mol hai na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
is mein hi log ishq-o-mohabbat ke mare hain
is mein hi shoKH husn ke chand aur sitare hain
is mein hi yar-dost isi mein piyare hain
sha-jhonpaDa bhi apne isi mein bichaare hain
apna na mol hai na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
is mein hi ahl-e-daulat-o-munim amir hain
is mein hi rahte sare jahan ke faqir hain
is mein hi shah aur isi mein wazir hain
is mein hi hain saghir isi mein kabir hain
itna na mol ka na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
is mein hi chor-Thag hain isi mein amol hain
is mein hi roni shakl isi mein ThiThol hain
is mein hi baje aur naqare-o-Dhol hain
sha-jhonpaDa bhi is mein hi karte kalol hain
itna na mol ka na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
is mein hi parsa hain isi mein tawand hain
bedard bhi isi mein hai aur dardmand hain
is mein hi sab parand isi mein charand hain
sha-jhonpaDa bhi ab isi Dar be band hain
itna na mol ka na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
is jhonpaDe mein rahte hain sab shah aur wazir
is mein wakil baKHshi o mutasaddi aur amir
is mein hi sab gharib hain is mein hi sab faqir
sha-jhonpaDa jo kahte hain sach hai miyan 'nazir'
itna na mol ka na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
Nazm
JhonpaDa
Nazeer Akbarabadi