maujon ki jawani mein talatum hai abhi tak
sailab-e-hawa shorishon mein gum hai abhi tak
bahte chale jate hain ye mahke hue dhaare
karte hain ishaare
hanste hain nazare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
ab tak usi andaz se hansti hain fazaen
ab tak usi KHushbu se mahakti hain hawaen
aati hain usi taur ghaTa-Top ghaTaen
ab tak usi mahaul mein palte hain nazare
chand aur sitare
ye nur ke pare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
panghaT pe jawan laDkiyan aati hain abhi tak
pariyon ki tarah nachti gati hain abhi tak
hansta hua mahaul basati hain abhi tak
aankhon mein jhalakte hain jawani ke sharare
rangin sitare
masum ishaare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
jamun ke daraKHton ki wahi chhanw ghaneri
aur un se zara haT ke mere khet ki beri
ruman ki duniya abhi mahfuz hai meri
in sayon tale hum ne kai pahr guzare
basti se kinare
kya din the hamare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
duniya ne na dekha mera rangin fasana
jhelum ko magar yaad hai shaer ka fasana
parwan chaDha hun inhin maujon ke sahaare
dekhe hain nazare
hain zehn mein sare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
Nazm
Jhelum ke kinare
Nazeer Mirza Barlas