اردو हिंदी
Jeneral-sahib ki nak | Shaahi Shayari
jeneral-sahib ki nak

Nazm

Jeneral-sahib ki nak

Zeeshan Sahil

;

jeneral-sahib
rozana subh-sawere

ThanDe pani se nahate hain
aur tayyar hone lagte hain

wardi pahan kar
wo sidhe lawn mein jate hain

taza hawa aur khile hue phul
unhen bahut pasand hai

wo din bahut KHarab guzarta hai
jab sola jawan

chaar naeb sube-dar aur do kaptan
court-marshal ke

ahkaamat sunte hain
aur mali ki bhi

jaan-baKHshi nahin hoti
us din jeneral-sahib

ek kali ko apne jute ke niche
ye kah ke kuchal dete hain:

us mein koi KHushbu nahin
hamein baad mein malum hota hai

jeneral-sahib ki nak
ek arse band thi