اردو हिंदी
Jazbaat | Shaahi Shayari
jazbaat

Nazm

Jazbaat

Lala Anoop Chand Aaftab Panipati

;

gham ki chha jaegi duniya mein ghaTa mere baad
aur barsenge bahut tir-e-bala mere baad

dekhna hashr kya hota hai ki jab aaegi
dar-o-diwar se rone ki sada mere baad

bijliyan chamkengi aalam-o-masaib ki agar
gham ki chal jaegi har samt hawa mere baad

apni Thokar se meri qabr ko Dhaya aa kar
zulm ye aur bhi zalim ne kiya mere baad

aaj dil khol ke tum zulm-o-sitam kar Dalo
phir chalaoge kahan tegh-e-jafa mere baad

meri surat se bhi chiDh ho gai paida jin ko
KHun rulaegi unhen meri wafa mere baad

hath se apne miTane pe tule ho lekin
kaun bhugtega mohabbat ki saza mere baad

KHud hi pachhtaoge duniya se miTa kar mujh ko
tum ko bedad ka aaega maza mere baad

apne bimar-e-mohabbat ko na taDpao tum
phir dikha lena unhen naz-o-ada mere baad

wo bahane lage aankhon se lahu ke aansu
rang le aai hai ye meri wafa mere baad

'aftab' aaj mohabbat ne asar dikhlaya
un ke sine mein bhi ab dard uTha mere baad