aah mein ai dil-e-mazlum asar paida kar
jis mein sauda-e-mohabbat ho wo sar paida kar
gham ka tufan bhi agar aae to kuchh fikr na kar
qaum ka dard har ek dil mein magar paida kar
zulmat-e-gham ka nishan tak na nazar aae kahin
wo KHayalat ki duniya mein sahar paida kar
sarfaroshon ki tarah pahle miTa de KHud ko
hind ki KHak se phir lal-o-gohar paida kar
aag be-faiz ki daulat ko laga de yarab
kaam aae jo gharibon ke wo zar paida kar
aaj bhi qaum ke sheron ka lahu hai tujh mein
hausla ram ka bhisham ka jigar paida kar
hon hanuman aur 'angad' se hazaron yodhdha
sainkaDon bhim aur arjun se bashar paida kar
aasman kanpta hai nam se jin ke ab tak
aaj phir qaum mein wo laKHt-e-jigar paida kar
phir zarurat hai jawan mardon ki ai madar-e-hind
rana-pratap se KHuddar bashar paida kar
ahd-e-rafta mein janam tu ne diya tha jin ko
madar-e-hind wahi nur-e-nazar paida kar
chain rahat se agar umr basar karni hai
dil mein aghyar ke bhi uns se ghar paida kar
gar tamanna hai ki ho sara zamana apna
jazba-e-ishq-o-mohabbat ki nazar paida kar
'aftab' ab teri taqdir ka chamkega zarur
mard ban kar koi duniya mein hunar paida kar
Nazm
Jazbaat-e-aftab
Lala Anoop Chand Aaftab Panipati