bedar huin mahr-e-jawani ki shuaen
paDne lagin aalam ki isi samt nigahen
KHwabida the jazbaat badalne lage karwaT
ru-e-sharar-e-tur se haTne laga ghungat
bharne lage bazu to hue band-e-qaba tang
chaDhne laga tifli pe jawani ka naya rang
saghar ki khanak ban gai us shoKH ki aawaz
barbat ki hui gudgudi ya jag uThe saz
aaza mein lachak hai to hai ek loch kamar mein
aasab mein para hai to bijli hai nazar mein
aane lagi har baat pe ruk ruk ke hansi ab
rangin tamawwuj se giran-bar hue lab
wo dekh badalte hue pahlu koi uTTha
wo dekh bigaDe hue gesu koi uTTha
wo dekh ki kis gul ki mahak phaili hai har-su
wo dekh ki hai kaun rawan bajte hain ghungru
kam-baKHt ajal thi ye jawani ki qaba mein
TukDe hain kisi dil ke bhi naqsh-e-kaf-e-pa mein
Nazm
Jawani
Makhdoom Mohiuddin