hamein jawani mein maut aaegi
bhigte takiye ke sard sine pe
apni sanson mein garm banhon ki pyas le kar sulagne wali
har ek doshiza jaanti hai
ki aankh jab KHwab ke sahife ko chaT le gi
to nuh capsule se pukarega
pyare beTe' aman mein aao
lo, main ne jo qabr umr ke belche se apne liye banai hai
us ki ranon mein
tum bhi apna badan sameTo
tumhaare ek hath chand aur dusre pe suraj
ki maslahat ki craze qaem rahe
glamour tumhaare collar mein phul ban kar khile
ai beTe, ye shahr uryaniyon mein nuchDe-ga
aur is par azab daim hai
Nazm
Jawan-marg ka nauha
Rahat Naseem Malik