meri beTi meri jaanan
tumhein sab yaad to hoga
bahut pahle bahut pahle
jawani ka tha jab aalam
mere bazu mein taqat thi
mere sine mein himmat thi
unhen ayyam mein ek din
meri aaghosh-e-ulfat mein
kisi ne la ke rakkha tha
tumhaara phul sa chehra
badan be-intiha nazuk
mere in saKHt hathon mein
ajab narmi si aai thi
meri is aankh ne bu se liye the aur roi thi
mujhe to yaad hai sab kuchh
tumhein bhi yaad to hoga
nae kapDe khilaune dudh ki botal KHaridi thi
bahut bechain hota tha jo tum raaton ko roti thin
chali thin apne pairon par jo tum pahle-pahal beTa
mujhe aisa laga tha chal paDi dil ki mere dhaDkan
qadam do chaar le kar tum jo ik-dam laDkhaDai thin
meri sansen mere sine ke andar thartharai thin
meri godi mein rafta rafta din guzra kiye aur tum
na jaane sote sote mere sine par jawani tak
meri jaan aaj aai ho
tumhein mujh se shikayat hai
ki main ne saKHtiyan ki hain
meri wo saKHtiyan tum ko bahut ranjur karti thin
mujhe bhi ranj hota tha
magar thi tarbiyat lazim
tumhein sanche mein Dhalna tha
tabiat ko badalna tha
tumhein sab yaad to hoga
meri beTi mere bazu mein wo quwwat nahin baqi
tumhaari har KHushi ki hain zamanat dhaDkanen meri
magar ek mashwara sun lo
ki ab sab bhul jao tum
nae rishte banao tum
hamara sath chhuTega
nae rishton ke meri jaan masail kam nahin hoge
magar tab hum nahin honge
akeli jaan hogi tum
faqat wo tarbiyat hogi
jo main ne saKHtiyan kar ke
tumhaare dil mein Dali hai
wo tum ko yaad to hogi
sabaq sab yaad to hoga
Nazm
Jawan beTi se bap ka KHitab
Afeef Siraj