hamein ek din KHatm karna paDega
hamare dilon mein jo kuchh fasla hai
hamein dhup mein KHub chalna paDega
mohabbat ka bas ek hi rasta hai
hum insan hain aur insan rahenge
jo haiwan hain ek din tang aa kar
chale jaenge apne jangal mein wapas
jahan wo rahenge wahin laD marenge
jo baqi bachenge wo shahron mein aa kar
gharon ko jalane ki koshish karenge
jawanon ko khane ki koshish karenge
wo college se jati hui laDkiyon ko
andhere mein lane ki koshish karenge
hum insan hain aur insan ki izzat
hamesha bachane ki koshish karenge
hamein koi ashlok aata nahin hai
suwami ka tirshul bhata nahin hai
hamari kawita, hamari katha hai
hamari kitaben hamara jatha hai
agar koi dimak hamara asasa
miTane ki aasha liye aa rahi hai
wo ye jaan le ki hamare dilon mein
mohabbat ki lau jagmagane lagi hai
hamein apne sinon ki siDhi bana ke
kisi raat ambar pe jaana paDega
diye ki jagah phul rakhne paDenge
parindon ke hamrah gana paDega
Nazm
Jawahar-lal uniwersity ke talaba ke liye
Zeeshan Sahil