suraj ne jate jate baDi tamkanat ke sath
zulmat mein Dubti hui duniya pe ki nazar
kahne laga ki kaun hai ab us ka pasban
mere siwa hai kaun zamane ka rahbar
main tha to apni rah pe thi gamzan hayat
ab main nahin rahunga to ye sari kaenat
zulmat mein bhaTakti phiregi tamam raat
suraj ye kah ke ja hi raha tha ki ek diya
chupke se jal uTha aur use dekhne laga
Nazm
Jawab
Himayat Ali Shayar