aah jab dil se nikalti hai asar rakhti hai
gulshan-e-zist jalane ko sharar rakhti hai
top talwar na ye tegh-o-tabar rakhti hai
bint-e-hawwa ki tarah tir-e-nazar rakhti hai
itna pur-soz hua nala-e-saffak mera
kar gaya dil pe asar shikwa-e-bebak mera
ye kaha sun ke sasur ne ki kahin hai koi
sas chupke se ye bolin ki yahin hai koi
saliyan kahne lagin qurb-o-qarin hai koi
sale ye bole ki mardud-o-lain hai koi
kuchh jo samjha hai to ham-zulf ke behtar samjha
mujh ko begam ka sataya hua shauhar samjha
apne haalat pe tum ghaur zara kar lo agar
jald khul jaegi phir sari haqiqat tum par
main ne ugne na diya zehn mein nafrat ka shajar
tum pe Dali hai sada main ne mohabbat ki nazar
kah ke sartaj tumhein sar pe biThaya main ne
tum to beTe the faqat bap banaya main ne
main ne sasural mein har shaKHs ki izzat ki hai
sas sasure nahin nandon ki bhi KHidmat ki hai
jeTh dewar se jeThani se mohabbat ki hai
main ne din raat mashaqqat hi mashaqqat ki hai
phir bhi honTon pe koi shikwa gila kuchh bhi nahin
mere din raat ki mehnat ka sila kuchh bhi nahin
subh-dam bachchon ko tayyar karaati hun main
nashta sab ke liye roz banati hun main
basi tum khate nahin taza pakati hun main
chhoDne bachchon ko school bhi jati hun main
main ki insan hun insan nahin jin koi
meri taqdir mein chhuTTi ka nahin din koi
wo bhi din the ki dulhan ban ke main jab aai thi
sath mein jine ki marne ki qasam khai thi
pyar aaankhon mein tha aawaz mein shahnai thi
kabhi mahbub tumhaari yahi harjai thi
apne ghar ke liye ye hasti miTa di main ne
zindagi rah-e-mohabbat mein luTa di main ne
kis qadar tum pe giran ek faqat nari hai
dal roTi jise dena bhi tumhein bhaari hai
mujh se kab pyar hai aulad tumhein pyari hai
tum hi kah do yahi aain-e-wafadari hai
ghar to biwi se hai biwi jo nahin ghar bhi nahin
ye double bed ye takiya nahin chadar bhi nahin
main ne mana ki wo pahli si jawani na rahi
har shab-e-wasl nai koi kahani na rahi
qulzum-e-husn mein pahli si rawani na rahi
ab main pahle ki tarah raat ki rani na rahi
apni aulad ki KHatir main jawan hun ab bhi
jis ke qadmon mein hai jannat wahi man hun ab bhi
the jo ajdad tumhaare na tha un ka ye shiar
tum ho biwi se pareshan wo biwi pe nisar
tum kya karte ho har waqt ye jo tum bezar
tum ho guftar ke ghazi wo sarapa kirdar
apne ajdad ka tum ko to koi pas nahin
hum to behis hain magar tum bhi to hassas nahin
nahin jin mardon ko parwa-e-nasheman tum ho
achchhi lagti hai jise roz hi uljhan tum ho
ban gae apni grihasti ke jo dushman tum ho
ho ke ghairon pe fida biwi se bad-zan tum ho
phir se aabaad nai koi bhi wadi kar lo
kisi kalbisni se ab dusri shadi kar lo
Nazm
Jawab-e-shikwa
Nashtar Amrohvi